-
HTF :
Higher Timeframe ko kehte hain,
Example: Agar aap M15 ko dekh rahe hain, to M15 se bare timeframe ke pdarrays ko HTF pdarray keh sakte hain. -
LTF :
Lower Timeframe ko keha jata hai,
Example: 1h ke chart aap dekh rahe hain to M15 aur M5 is tarah ke Lower Timeframes ko LTF kehte hain, aur unke pdarrays pe LTF Pdarray keh sakte hain. -
Timeframe Alignments :
Trade setup jab bante hain, tab unke liye LTF me jaake confirmation leni hoti hai,
Jaise A + Setup ya is tarah ke models ke zariye confirmation li jati hai,
is se ye bhi pata chalta hai ke Trade setup sahi hai ya galat.
Entry aur Stop Loss LTF ke hisab se set kiye jate hain, is tarah trade karne me Risk bahut kam aur Reward barh jata hai,
isliye har HTF ke liye uske according LTF hota hai, jo neeche list me hain. -
List of the HTF and LTF :
Yearly - Monthly
Quarterly 3M - Weekly
Monthly - Daily
Weekly - 4 Hour
Daily - 1 Hour
4 Hour - 15 Minutes
1 Hour - 5 Minutes
15 Minutes - 1 Minute
1 Minute - 15 Second
Timeframe Alignments - HTF and LTF - Simplified