- Rijection Block tab banta hai, jab koi swing bane aur uske baad ik aur swing bane jo previous swing ki liquidity le, Aksar wohi hota hai "Rijection Block" and colors se fark ni parta.
- Agar daily bias bullish hon aur apko pata ho, ke price kis level pe tap krne jaygi, to phir 9:30 ke opening price se neeche entry talash karein LTF me, Relative equal highs ko target karein ya phir 15:00 ke baad daily candle closing ke liye, neeche ya upar ja ke close hoti hai, isliye 15:00 pe profit book kr skte hain.
- 11:30 se 13:30 tak takreeban Newyork Lunch Time hota hai, aur is time aksar market fake move deti hai, is time se pehle jo swing low ho, uski liquidity clean karke 13:30 ke baad wapis bias ke hisab move degi.
- Volume Imbalance, Me Fibonacci lagain settings ye hain (0.25, 0.5, 0.75, 1.0) agar 75% tak bhi fill ho jaye, tab bhi market wapis aa ke 100% tak fill kr sakta hai, ICT ne wese Daily ke VI pe bataya hai.
- 9:30 opening gap ke liye, "Regular Trading Hour" tradingview pe zaroori hai.
ICT Mentorship 2024 Lecture 11 + 12 & 13 in Hindi & Urdu