-
Swing :
koi bhi candle apne left side aur right ke candles se upar ho, tab use swing high kehte hain, aur jab right side wali candle center ki candle ke low ko sweep kre ya break kare tab swing high confirm ho jata hai. Aur iska opposite hota hai swings low. - Fibonacci :
premium aur discount ye dono important hain trade lene ke liye, jab price Fibonacci ke 50% se neeche ho tab usey discount zone kehte hain, aur jab price 50% ke upar ho tab usey premium zone kehte hain, aur 50% ko Equilibrium kehte hain. - Dealing Range :
swing high to swing low, ya phir, swing low to swing high, jab Fibonacci draw ki jati hai, tab usey Dealing Range kehte hain, aur buy karne ke liye discount ke pdarray ko trade krte hain, aur sell ke liye, premium ke PdArray tak ka wait karte hain, discount me sell karna risky hota hai, aur buy premium se karne me bhi risk hota hai, aur stop losses ke liye bhi problem hoti hai.
Dealing Range Simplified ICT concept