BPR and Inversion ICT concepts in Urdu/Hindi

 

Inversion and BPR entry Module ICT concept
Kuch Aham Batein !
  • Ye dono module entry ke liye bhi use kar sakte hain, agar koi Reversal zone hai to.
  • Extreme Point ke FVG se BPR ya Inversion bane to zyada acha mana jata hai.
  • BPR ya Inversion jab create ho, tab retrace ke doraan koi bhi candle us FVG ke 50% ke upar body close na kare, warna risky ho jata hai. Agar 25% neeche close kare to sahi hai, lekin agar wick laga ke neeche close kare to bahut achhi baat hai.
  • Trade Lene se pehle Risk management ka dehaan lazmi rakhein.
BPR ko Trade kaise karein?

BPR Balance Price Range, agr kisi POI pe jane se pehle FVG bane ya Liquidity sweep ke waqt FVG bane, aur market uski respect na kare, and rejection na le, aur FVG ko aik candle se break karde, tab usi FVG se trade leni chahiye, aur stop loss HH/HL point pe laga dein.

Inversion ko Trade kaise karein?

Agar price kisi POI pe jane se pehle FVG create kare, ya liquidity sweep pe FVG create kare, aur usi FVG ko Break karne se pehle us se kam se kam aik bar rejection le, aur phir usko break kare, ya rejection na le 2 candles se break kare tab bhi usko Inversion kaha jayga, aur aap FVG se entry le sakte ho aur Stop Loss inversion se thora uper laga dein, safe stop loss ke liye HH/HL ke point pe lagain.