Wolf Wave Bullish chart patterns ko kaise Trade krein

 

Kuch Aham Batein in Hindi & Urdu !

  • Downtrend honi chahiye.
  • Ye pattern 1st support bana ke 1st resistance banata hai.
  • support (1) aur resistance (1) jo bane the unke beech mein 2nd resistance honi chahiye.
  • 2nd support 1st support se neeche hone chahiye.
  • Dono support ko mila ke aik support line draw karein, uske baad jab 3rd support, support line ko false breakdown down kare 1 ya 2 candle se, tab confirm ho jata hai.
  • Is pattern ko trade Karna aasan hai Lekin, Risk Management Lazmi use krein.
  • Ye pattern crypto, forex, stock exchange, share market sab jaga same karega.

Buy Kahan karein? (Entry)

Jab 3rd support false breakdown karke wapis support line ke upar jaye tab buy karein.

Stop Loss Kahan Lagain?

3rd support ne jahan false breakdown ki thi wahin low pe stop loss laga dein.

Sell kahan karein? (Target, Tp)

1st support ko 2nd resistance ke sath mila ke aik trend line draw karein, is trend line ko Resistance Line kehte hain, is pattern ka target buy zone se leke Resistance line tak hai, lekin main isme 2nd resistance ko target set karta hun, ye mujhe safe lagta hai.


Babar
Great
Najeebullah
Main practice krunga thank you
Arslan
Nice
Usmann
Great