Kuch Aham Batein in Hindi & Urdu !
- Uptrend honi chahiye.
- Ye pattern 1st Resistance bana ke 1st Support banata hai.
- 1st support aur 1st resistance Jo bane the, unke beech mein 2nd support honi chahiye.
- 2nd resistance 1st resistance se upar honi chahiye.
- Dono resistance ko mila ke aik resistance line draw karein, uske baad jab 3rd resistance, resistance line ko false breakout kare 1 ya 2 candle se, tab confirm ho jata hai.
- Is pattern ko trade Karna aasan hai Lekin, Risk Management Lazmi use krein.
- Ye pattern crypto, forex, stock exchange, share market sab jaga same karega.
Short Sell Kahan Karein? (Entry)
Jab 3rd resistance false breakout karke wapis resistance line ke neeche jaye tab short karein.
Stop Loss Kahan Lagain?
3rd resistance ne jahan false breakout ki thi wahin high pe stop loss laga dein.
Buy Kahan Karein? (Take profit)
1st resistance ko 2nd support ke sath mila ke aik trend line draw karein, is trend line ko support line kehte hain, is pattern ka target Entry se leke Support line tak hai, lekin main isme 2nd support ko target set karta hun, ye mujhe safe lagta hai.