Kuch Aham Batein ! (Hindi/Urdu)
- Down Trend Hindi chahiye.
- Isme 3 low points hote hain, teeno ko mila ke aik Resistance line draw karein.
- Thore se wick upar neeche ho sakte hain.
- Is me trade Lena aasan hain lekin Risk Management ka dehaan lazmi rakhein.
- Ye pattern crypto, forex, stock exchange, share market, har jaga same Tarah se kaam karenge.
Short Sell kahan karein? (Entry)
Triple Top ke Jo beech me 2 low points hain unko mila ke aik line draw karein, is line ko Nickline kehte hain, jab Nick line breakdown ho jaye, aur jis Candle ne breakdown ki thi uske baad wali candle me buy karein jab breakdown wali candle se price neeche Chali jaye.
Stop Loss Kahan set Karein? (SL)
Jis Candle ne breakdown ki thi us ke upar ya phir us se pichhli candle ke upar ka stop Loss Laga dein.
Buy Kahan karein? (Take Profit)
Pehle Top se Leke Nick line tak aik line draw karein, phir usko clone karke breakdown wali candle ke sath Nick line ke neeche rakhein, ab jahan tak line jati hai, wahin target set karein.