Triple Bottom bullish chart pattern ko kaise Trade karein

 

Kuch Aham Batein ! (Hindi/Urdu)

  • Uptrend Hindi chahiye.
  • Isme 3 high points hote hain, teeno ko mila ke aik Support line draw karein.
  • Thore se wick upar neeche ho sakte hain.
  • Is me trade Lena aasan hain lekin Risk Management ka dehaan lazmi rakhein.
  • Ye pattern crypto, forex, stock exchange, share market, har jaga same Tarah se kaam karenge.

Buy Kahan karein? (Entry)

Triple Bottom ke Jo beech me 2 high points bane hain unko Mila ke aik line draw karein, is line ko Nickline kehte hain, jab Nick line breakout ho jaye, aur jis Candle ne breakout ki thi uske baad wali candle me buy karein jab breakout wali candle se price upar Chali jaye.

Stop Loss Kahan Lagain? (S.L)

Jis Candle ne breakout ki thi us ke neeche ya phir us se pichhli candle ke neeche ka stop Loss Laga dein.

Sell kahan krein? (Take Profit)

Pehle bottom se Leke pehle high point tak aik line draw karein, phir usko clone karke breakout wali candle ke sath Nick line ke upar rakhein, ab jahan tak line jati hai, wahin target set karein.