Kuch Aham Batein ! Hindi & Urdu
- DownTrend honi chahiye.
- Is pattern mein trend tezi se neeche ayegi, uske baad consolidation karte huwe trend kaafi time tak sideways chalti rahegi.
- Kaafi time ke baad trend achanak tezi se upar jaygi, tab confirm ho jata hai.
- Is pattern ko Trade karna aasan hai, lekin Risk Management bahut zaroori hai.
- Square box pattern specially BTC/Usdt mein bahut baar dekhai deta hai.
- Ye pattern sab jaga same kaam karega, crypto, forex etc...
Buy Kahan karein? (Entry)
is pattern ke dono high points ko mila ke trend line draw karein, ya phir rectangle tool ko utha ke aik dono resistance ko mila ke low points tak aik box draw krein, jab koi candle Breakout karde uske baad wali candle me buy karein jab pichhli candle se price upar nikal jaye.
Stop Loss kahan Lagain?
Jis Candle ne breakout ki thi us candle ke low ke neeche ka stop loss Laga dein, ya phir us se pichhli candle ke neeche ka stop loss Laga dein.
Sell Kahan Karein? (Take Profit)
Low points se high points tak aik line draw karein phir usko clone karke breakout wali candle ke sath upar rakhein, Jahan tak line jati hai, wahin target set karein.