Square Box bearish chart pattern ko Trade Kaise karein
Aasan crypto

Kuch Aham Batein in Hindi & Urdu !

  • UpTrend honi chahiye.
  • Is pattern mein trend tezi se upar jayegi, uske baad consolidation karte huwe trend kaafi time tak sideways chalti rahegi.
  • Kaafi time ke baad trend achanak tezi se neeche jaygi, tab confirm ho jata hai.
  • Is pattern ko Trade karna aasan hai, lekin Risk Management bahut zaroori hai.
  • Square box pattern specially BTC/Usdt mein bahut baar dekhai deta hai.
  • Ye pattern sab jaga same kaam karega, crypto, forex etc...

Sell Kahan karein? ( Entry )

is pattern ke dono low points ko mila ke trend line draw karein, ya phir rectangle tool ko utha ke aik dono support points ko mila ke high points tak aik box draw krein, jab koi candle Breakdown karde uske baad wali candle me buy karein jab pichhli candle se price neeche nikal jaye.

Stop Loss Kahan Lagain? 

Jis Candle ne breakdown ki thi us candle ke high ke upar ka stop loss Laga dein, ya phir us se pichhli candle ke upar ka stop loss Laga dein.

Buy Kahan karein? ( Take Profit )

High points se low points tak aik line draw karein phir usko clone karke breakdown wali candle ke sath neeche rakhein, Jahan tak line jati hai, wahin target set karein.