Rising Wedge bearish chart pattern ko kaise Trade karein

 

Kuch Aham Batein !

  • Is pattern mein Support line aur Resistance line dono upar ki taraf hon.
  • Kam se Kam 2 support aur 2 Resistance hone chahiye.
  • Support aur Resistance kahin na kahin aik Dusre se milne chahiyen.
  • Isme Trade lena aasan hai, lekin Risk Management ka dehaan laazmi rakhein.
  • Ye pattern sab jaga same Tarah kaam karega forex, crypto, stock exchange, share market etc..

Buy kahan karein?

Jab koi candle Support ko Breakdown krde, phir uske baad wali candle, breakout wali candle se neeche Chali jaye, tab Short krein.

Stop Loss Kahan Lagain?

Jis Candle ne Breakdown ki thi, us candle me ya phir us se pichli candle k upar ka Stop Loss laga dein, Jo k safe mana jata hai.

BUY Kahan Karein? (Take Profit)

Is pattern me jitne bhi Support bane the 2 ya 3 wohi targets hn, unko safe targets samjha jata hai, Lekin aap pehle Support aur resistance k beech me aik line draw krein, aur dusri line Falling Wedge k beech me draw krein, aur dono lines ko Breakdown wali candle k sath rakhein, chhoti line pehla target hai, aur bari line dusra target hai.