Pennant and Flag bullish chart patterns ko Trade Kaise karein

 

Kuch Aham Batein ! (Hindi/Urdu)

  • Bullish Trend honi chahiye.
  • Is pattern mein trend tezi ke sath upar jati hai aur wahan ik resistance bana ke 2 ya 3 candle ke baad wahin support bana ke consolidation me chali jati.
  • Consolidation ke waqt support aur resistance ko mila ke lines draw kar dein, phir ye pattern triangle ya phir price channel ki tarah dikhegi.
  • Is pattern me Trade karna aasan hai, Lekin Risk Management ka dehaan laazmi rakhein.
  • Ye pattern sab jaga same kaam karega, Forex, crypto, stock, share market etc...

Buy Kahan karein (Entry)

Jab ye flag or pennant breakout ho, uske baad wali candle pe entry krein lekin jab price breakout wali candle se upar chali jaye.

Stop Loss Kahan Lagain?

Jis Candle ne breakout ki thi uspe Laga dein ya phir us se pichhli candle ke neeche ka laga dein kiyun ke usko safe samjha jata hai.

Sell Target Kahan set Karein? (Tp)

Jahan se trend start hui thi wahan se leke pehli resistance tak aik line draw krein, phir us line ko pennant/flag ke upar breakout wali candle ke sath rakhein, Jahan tak line jati hai wohi target hai, Lekin kuch log pennant/flag ke last support ke candle k sath rakhte hain, aur phir agar woh line Flag/Pennant ke pehle resistance ke upar jati hai, to woh pennant/flag ke pehle resistance pe sell order Laga dete hain.