Inverted Head and Shoulders bullish chart pattern ko Trade kese karein

 

Kuch Aham Batein !

  • Bearish trend honi chahiye.
  • 1st pe lower point bnegi.
  • 2nd pe lower low point.
  • 3rd mein same low point bnaygi Jo pehle 1st pe banayi thi.
  • Matlab ye hai ke 2nd point neeche ban'ni chahiye 1st and 3rd se.
  • Ye pattern inverted Head aur Shoulders ki Tarah dekhai degi.
  • Is pattern me trade Lena aasan hai, lekin Risk Management ka dehaan laazmi rakhein.
  • Forex, crypto, stock exchange, share market, har jaga ye same Tarah se hi Kam krta hai.

Khareedari Kahan karein? (Buy)

Is pattern me jo inverted Head banta hai, us ke dono resistance ko Mila ke aik resistance line kheench dein, us line ko Nick line kehte hain, jab candle us line ko breakout karde tab uske baad wali candle me buy krein jab breakout wali candle se upar nikal jaye.

Stop Loss Kahan Lagain? (SL)

jis Candle ne breakout ki thi, us pe ya phir us se pichhli candle pe stop Loss set kardein.

Sell kahan karein? (Take Profit)

Iske head se Leke Nick line tak aik line draw karein, aur dusri line iske shoulder se leke Nick line tak, phir un dono lines ko utha ke, breakout wali candle ke Sath rakhein, Jahan tak chhoti line jati hai, woh pehla target hai, aur tak bari line jati hai, woh dusra target hai.