Kuch Aham Batein !
- Bullish trend honi chahiye.
- 1st pe higher point bnegi.
- 2nd pe higher high point.
- 3rd mein same high point bnaygi Jo pehle 1st pe bani thi.
- Matlab ye hai ke 2nd point upar ban'ni chahiye 1st and 3rd se.
- Ye pattern Head and Shoulders ki Tarah dekhai degi.
- Is pattern me trade Lena aasan hai lekin, Risk Management ka dehaan laazmi rakhein.
- Forex, crypto, stock exchange, share market, har jaga ye same Tarah se hi Kam krta hai.
Short sell Kahan Karein?
Is pattern me jo Head banta hai, us ke dono low ko Mila ke aik resistance line kheench dein, us line ko Nick line kehte hain, jab candle us line ko Breakdown karde, tab uske baad wali candle me short sell krein, jab breakdown wali candle se neeche nikal jaye.
Stop Loss Kahan Lagain?
jis Candle ne Breakdown ki thi, us pe yaa phir us se pichhli candle ke upar ka stop Loss set kardein.
Buy kahan karein? (Take Profit)
Iske head se Leke Nick line tak aik line draw karein, aur dusri line iske shoulder se leke Nick line tak, phir un dono lines ko utha ke, Breakdown wali candle ke sath rakhein, Jahan tak chhoti line jati hai, woh pehla target hai, aur tak bari line jati hai, woh dusra target hai.