Kuch Aham Batein ! (Hindi/Urdu)
- Bullish Trend honi chahiye.
- Is pattern mein trend tezi ke sath neeche jati hai aur wahan ik support bana ke 2 ya 3 candle ke baad wahin resistance bana ke consolidation me chali jati.
- Consolidation ke waqt saare support aur resistance ko mila ke lines draw kar dein, phir ye pattern triangle ya phir price channel ki tarah dikhegi.
- Is pattern me Trade karna aasan hai, Lekin Risk Management ka dehaan laazmi rakhein.
- Ye pattern sab jaga same kaam karega, Forex, crypto, stock, share market etc...
Short Sell kahan karein? (Entry)
Jab ye flag or pennant breakdown ho, uske baad wali candle pe entry krein lekin jab price breakdown wali candle se neeche chali jaye.
Stop Loss Kahan Lagain?
Jis Candle ne breakdown ki thi uspe laga dein ya phir us se pichhli candle ke upar ka laga dein kiyun ke usko safe samjha jata hai.
Buy Kahan karein? (Take Profit)
Jahan se trend start hui thi wahan se leke pehle support tak aik line draw krein, phir us line ko pennant/flag ke neeche breakdown wali candle ke sath rakhein, Jahan tak line jati hai wohi target hai, Lekin kuch log pennant/flag ke last resistance ke candle k sath rakhte hain, aur phir agar woh line Flag/Pennant ke pehle support ke neeche jati hai, to woh pennant/flag ke pehle support pe sell order laga dete hain.