Double Top bearish chart pattern ko kaise Trade karein

 

Kuch Aham Batein ! (Hindi/Urdu)

  • Ye pattern M ki tarah dekhai deta hai.
  • Jab ye pattern bane to ho sakta hai ke koi harmonic pattern ho.
  • Upar se dono Resistance ko mila ke aik Resistance line draw krein, dono ke Top same line pe hone chahiye.
  • Agar dono Resistance mein thore bahut wicks upar neeche hon, to koi bari baat ni hai.
  • Bullish Trend ho.
  • Is pattern ko Trade karna aasan hain, lekin phir bhi Risk Management ka dehaan lazmi rakhein.
  • Ye pattern har jaga same Tarah se kaam karega forex, crypto, stock exchange etc...

Short Sell kahan karein? ( Entry)

Dono Top ke beech me jo low point bani thi, wahan aik resistance line draw karein, us line ko Nick line kehte hain, jab Nick line breakdown ho jaye, tab jis Candle ne breakdown ki thi uske baad baad wali candle me short sell karein, jab price pichhli candle se neeche nikal jaye, Lekin kuch log (M) ke pehle low point ko second low point se mila ke line draw karte hain, phir us line ke breakout ke baad entry karte hain.

Stop Loss Kahan Lagain? (SL)

Jis Candle ne breakdown ki thi us ke upar ya phir us se pichhli candle ke upar ka Stop Loss Laga dein.

Buy Kahan set Karein? (Take Profit)

(M) ke pehle top point se leke nick line tak aik line draw krein, phir usko clone karke breakdown wali candle ke sath Nick line ke neeche rakhein, ab jahan tak line jaygi wahin target set karein, lekin professional traders kisi Harmonic pattern ko match karke phir harmonic ke hisab se target set karte hain, Jo Kisi Fibonacci ke kisi golden ratio pe set karte hain.