Kuch Aham Batein ! Hindi/Urdu
- Is pattern ke support aur resistance is Tarah bante hain, jis tarah cup and handle dekhai dete hn.
- Is pattern ke high points Sirf 2 hote hn.
- Iska handle flag pattern bhi ho sakta hai.
- Handle ko cup ke aadhe hise tak hi ana hai, Fib ke 0.618 ya 0.50 se uper hona chahiye.
- Is pattern ko trade Karna aasan hai lekin, Risk Management ka lazmi khiyal rakhein.
- Ye pattern same Tarah kaam karta hai, crypto, forex, stock exchange, etc...
Buy kahan karein?
Jab ye pattern complete ho jaye, tab cup ke dono high Resistance ko mila ke aik line draw karni hai handle tak, us line ko Nick line kehte hain, jab Nick line ko koi candle breakout karde, uske baad wali candle me buy krna h, jab price breakout wali candle se upar Chali jaye
Stop Loss Kahan Lagain?
Jis Candle ne breakout ki thi, us candle ke neeche Laga sakte hain Lekin Thora risky hoga, isliye us se pichhli candle ka Laga dein.
Sell Kahan Karein? (Take Profit)
Cup ke low se low point se Leke Nick line tak aik line kheench dein, phir usko clone karke breakout wali candle k sath Nick line ke upar rakhein, Jahan tak line jati hai Wohi target hai, Lekin kuch log handle ko low point se Nick line tak line draw karte hn, phir usko clone karke nick line ke upar rakhte hain, phir jahan tak line jati hai, wahan target Tp set karte hain, kiyun ke ye target chhota hota hai, isliye jaldi hit ho jata hai, aur isme risk Kam rahta hai.