Kuch Aham Batein !
- Is pattern me Resistance Line seedhi honi chahiye.
- Support Line uper ki taraf jani chahiye.
- Support aur Resistance aik Dusre se Milne chahiye.
- Bullish Trend honi chahiye.
- Is pattern ko Trade Karna aasan hai, lekin Risk Management ka dehaan laazmi rakhein.
- Ye pattern sab jaga same Tarah kaam karega forex, crypto, stock exchange, share market etc...
Buy Kahan Karein?
Jab koi candle Resistance ko Breakout kar ke uper nikal jaye, Aur Volume bhi barhne lage, phir uske baad jo candle bane woh Breakout wali Candle se upar chali jaye, tab Buy krein.
Stop Loss Kahan Lagain?
Breakout jis Candle ne ki thi, us se pichhli candle ke neeche ka stop Loss Lagain.
TP: Sell Kahan Karein?
Is pattern me jo pehle Support aur Resistance bane the, unke beech me aik line kheenchein, aur phir Triangle k beech me se bhi ik line kheench dein, phir un dono lines ko Breakout wali candle k Sath rakhein, Jahan tak chhoti line jati h, woh pehla target hai, aur Jahan tak bari line jati hai, woh dusra target.
