Kuchh Zaroori Batein.!
- Agar ye candle red color mein baney to acchi baat hai, magar zaroori nahi hai,
- Volume pichhli candle se ziyada honi chahiye,
- Iss candle main body k muqabley upper aur lower shadow teen (3) guna ziyada honi chahiye.
- Kam se kam 7 ya 8 candles ka lowest point pe baney.
Short (Sell) Kaise Karein.?
Iss candle k Baad jo candle baney, woh gap me open ho, ya phir, High Wave k neechey colosing de de, Uss k baad short karein.
Stop Loss Kahan Lagain.?
Stop loss High Wave candle k uper ka laga dein.
Buy Kaise karein (Tp).?
Iss candle k uper se aik Trendline kheech dein, jab koi candle us line ko Cross karde, Uske baad Buy Karein.