Aham Maalumaat,
- Hammer aik Bullish Candlestick Pattern hai,
- Upper shadow bahut chhoti honi chahiye, agar upper shadow na ho to achhi baat hai,
- Lower shadow body k muqable mein double honi chahiye,
- Color koi b ho, agar green ho to ziyada achhi baat hai,
- Is mein Volume ki koi khaas Zaroorat nahi hai,
- 7-8 candlesticks ka lowest point banay.
Buy Kahan Karni Hai.?
Jab bhi hammer Candlestick ban jaye, to phir hammer k uper se aik Resistance line kheech dein, Uske baad jo candle bane agar woh candle, hammer candle ko break karde, Uske baad BUY karein.
Stop Loss Kahan Lagana.?
Hammer candlestick k neeche ka Stop Loss Laga dein.
Sell Kahan Karni Hai.?
Hammer Candlestick k neeche se aik Trendline kheech dein, jab bhi koi candle us Trendline ko break karde, Uske baad Sell kardein.